lagta hai,
ye jeewan ek natya hai,
aur mai iska patra,
mai khud ko khoj raha hun.
kabhi kabhi bhram hota hai,
kaha jaa raha huun,
jee bhi raha huun,
ya jeene ka abhinay karta jaa raha huun.
is natya ka aant nahi ,
is kirdar ka toh hai.
lagta hai,
chal bhi raha huun,
ya uska bhi abhinay kar raha huun,
samay ke sath kya,aage bhi badh raha hunn.
yeh kaisa patra hai, eska kya chritarth hai.
punchata hunn khud se,
apne hi aks se,
"kya ye mai hunn ya,'mai' ka patra kar raha hunn."
laghta hai
khush bhi huun ya uska bhi abhinaya kar raha huun.
lagta hai kabhi kabhi,
apni kalpana se natya mei srijanta laa paya to safal ho jaunga
varna ek gumnaam patra hi reh jaunga.
1 comment:
लगता है,
ये जीवन एक नाट्य है,
और मै इसका पात्र ,
मै ख़ुद को खोज रहा हूँ .
Post a Comment