Monday, June 29, 2009



AREY AMBER KI BHI KYA KAYA DEKHO!
KABHI MARUSTHAL SA DIKHTA AHI,
KABHI AMBER KI SI CHAVVI HAI.
HAAN KABHI KHADA TILA SA DIKHTA
TO KABHI DIKHTA DHUUL SA UDTA
MANNO ABHI ABHI GAYA HO,
PATH SE PASHUOON KA JHUND UMADTA,
HAAN ANGIT CHAVI AMBER KI DEKHO!
HAR PAL HAI JO RANG BADALTA!
HAR PAL HAI JO RANG BADALTA!
HAR PAL HAI JO RANG BADALTA!

Sunday, June 7, 2009

YE DAASTAAN HAI, AUR KUCH BHI NAHI

Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch b nahi

Manga Khuda se raat-din, Tere siwa Kuch b nahi


**********


Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe

Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch b nahi


**********





Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar

Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch b nahi


**********


Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak

Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch b nahi


**********


Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga

Aag per jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch b nahi

RAAT SUNTI RAHI......

Raat sunti rahi mein sunata raha,
Dard ki daastaan mein batata raha,


Log logoon se chahat nibhatay rahay,
Ik wo tha mera dil jalata raha,


Dhoop chaoon si uski tabiyat rahi,
Wo nigahein milata raha churata raha,


Ik mein hi piyasa raha dosto,
Log peetay rahay mein pilata raha,


Dil k mehman khanay mein ronaq rahi,
Koi aata raha koi jata raha,


Hum-maktab ne sara sabak parh lia,
Mein tera naam likhta raha mitata raha.

__________________

(¯`v´¯)
`*.¸.*`

Tuesday, June 2, 2009

shayari2

NAA hasne ka mann hai,
Naa Asnsu LAbon ko bhego Rahe haiN
NAa palkein JHapak rahi HAin
NAa hi hum so rahein hain,,,
dekh Sanam ..tere iskq mei..
KYa Kya sitam..humAre SAth ho rahe hain

shayari:2

wo keh ke gaye they...
humara dil kamzor hai..sambhal ke rakhna
hum aajtak uski hifazat karte aaye thy

unko na khabar thi ki wo humara leke jaa rahe hain,
khud to wo jee lenge saalon,par aaj
humare janaze mei bhi nahi aaye hain

shayari:3

Yeh Mohabaat ki hadd nahi...
humaari IBAdat KA tAreeKa hai
ki..tujhse milne ke lie.. katre bann ne ki aarzu..
aur un karto ki tere kadmon ko chune ki tamanna hai

USKI HAI RACHNA

kashti yunhi dubti nahi
lab yunhi thamte nahi
jazbad yunhi dabte nahi
ye chahatein hoti hain us uparwaale ki
jo mitata hai nishaan kisis ka,
jo jatata hai ehsaan kahin pe
woh karta hai wafa kisi se,
banata hai bewafa kisi ko
woh deta hain aanchal kisi ko
chenta hai mamta kisi se
wo banata hai savitri kisi ko
aur beparda karta ashleelta kisi ki
wo bnata rehnuma kisi ko
aur bnta lutera kisi ka
yeh usi ka khel hai..
ye usi ki duniya
wahi chalata hai isi ko
wahi banta
wahi mitata kisi ko
wahi sajata ,wahi nast karta apni kriti ko
wahi vani mei sur deta
aur swar ke abhas se vanchit rakhta kisi ko
woh deta swarn shaiya..kisi ko
ya chenta do gaj kafan kisi se..
wahi banata sabhi ko..wo hi mitata kisi ko...

Search with google ,if you can't find it here.. (google angel helps u)