Monday, May 18, 2009

CHUBHAN



Aankh namm hai...
Lab sehme...
Gaal gulabi..
Saanse madham..
Shaam seher hai..ya
Tufaan ka darr hai..
Mann banjar..
khud ki na khabar hai..

Kuch kho gaya hai..
Lagta hai,
Jag veeraan ho gaya hai..
Sath chuta.. ya wo ruth gaya hai..
Aks dekhte they jisme,
Wo tut ke bikhar sa gaya hai..
kuch kho gaya hai..

CHUBHAN hai kaanch ki,
Lahu paani ki tarah beh raha hai..
Jewaan hai neeras , phir bhi
Waqt kyu tham nahi raha hai..
CHUBHAN hai kiski..ki asar saaf dikh raha hai...

Aankhein namm hain..
lab sehme..
Tufaan ka darr hai..
uspe,khud ki na khabar hai..

Kaanton ki CHUBHAN hai..
YA rishton ka dard hai..
na jaane kaise badhti ye
CHUBHAN hai..

2 comments:

zaania said...

kuch samaj aaye then comment :) pls

Anonymous said...

Sach me Chubhan ka ehsaas karaati hai, aapki rachna.

Search with google ,if you can't find it here.. (google angel helps u)