yeh jo yaarana hai
deewana hai!
hum toh masti ki fizaaon mein
dosti ke saayein mein
jhumte chal pade!
kabhi shartein lagate,
kabhi notein udaate,
kabhi filen churaate,
kabhi usko patate
kabhi fattu ko rulaate 
dosti ke saayein mein
jhumte chal pade!
kabhi soncha na tha!
ek din hum bichad jayenge
zamaane ki bheed mei kho jayenge
phir ek din milenge, aur bas
muskuraayenge
un fizzaaon mei 
is dosti ke ye pal yaad ayenge
 
toh abhi
jee lo na yaar
yeh jo yaarana hai
deewana hai!
hum toh masti ki fizaaon mein
dosti ke saayein mein
jhumte chal pade!
aao ghume sath!!
gaao aaj!
yaara hum dosti ke saayein mein
jhumte chal pade!
apni nayi pehchaan banane jhumte chal pade!
hum toh masti ki fizaaon mein
dosti ke saayein mein
jhumte chal pade!
No comments:
Post a Comment